Saturday, March 8, 2008

Yaadain teri aaj phir aayi

Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Chaandni raaton main hum tum mila karte the

Yunhi pehron baithkar baatain kiya karte the
Yaadon ka karb kar gaya aankhain ashkbaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Bulaayen kis tarah tumko, kahan tum kho gaye

Jism tadapta hai yahan, rooh saath le gaye
Tees uthti hai, aur utar jaati hai dil ke paar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Ishq ko samjha ibaadat, kya yeh uski saza hai

Zindagi bhi to nahin, phir kya yeh qaza hai
Dil bekas aarzuon ka hai jeeta jaagta mazaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar

Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

No comments: