Saturday, March 8, 2008

Yaadain teri aaj phir aayi

Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Chaandni raaton main hum tum mila karte the

Yunhi pehron baithkar baatain kiya karte the
Yaadon ka karb kar gaya aankhain ashkbaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Bulaayen kis tarah tumko, kahan tum kho gaye

Jism tadapta hai yahan, rooh saath le gaye
Tees uthti hai, aur utar jaati hai dil ke paar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Ishq ko samjha ibaadat, kya yeh uski saza hai

Zindagi bhi to nahin, phir kya yeh qaza hai
Dil bekas aarzuon ka hai jeeta jaagta mazaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar

Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Khamoshi

Iss Khamoshi pe mat jana,
ToofaaN sae guzar k aaya hun maiN !!

Cheen le gaya mujhko mujhse hi,
Ya shayad khud ko hi bhool aaya hun maiN !!

Be sabab-Be wajah ab lagein mehfillen,
Wajah ae Ishrat shayad luta aaya hun meiN !!

Mehazur iss duniya sae ya hu N khoya khoya,
Shayad issar ae zindagi chorr aaya huN meiN !!

Jo leke aaya, wo hai khamoshi,
ab bass kh’mush, kavish ae mehzoozi gavaaN aaya huN meiN !!

Thought for the day..

“The price of success is hard work, dedication to the job at hand, and the determination that whether we win or lose, we have applied the best of ourselves to the task at hand.” ~ Vince Lombardi